Thursday, April 22, 2010

Ghalib

Yeh na thi hamari qismat ke visaal-e-yaar hota
Agar aur jeete rehte yahi intezar hota

Tere vaade pe jiye hum to ye jaan choott jaana
Ke khushi se mar na jaate agar aietbaar hota

Hue marke jo ruswa, hue kyon na gharq-e-dariya
Na kabhi janaaza uthta, na kahi mazaar hota

Tu yagaana hai tu yakta, tujhe kaun dekh sakta
Jo dui ki bu bhi hoti to kahi do-chaar hota

Ye masayel-e-tasawuff aur tera bayaan Ghalib
Tujhe hum wali samjhte jo na baadakhar hota